Posts

Peeri Mureedi Par Sawal O Jawab

Peeri Mureedi Par Sawal O Jawab Sawal: 1.  Peeri Muridi Ki Haqiqat Kya Hai. Kyun Kisi Ko Apna Peer Banana Chahiye. Kya Huzoor Aleyhis Salaam Ka Farmaan Hai? 2 . Peer / Murshid Ki Pehchaan Kaise Karein Ki Kya Yeh Peersaheb Nek Hai Yah Sirf Dikhawa Hai? 3 . Yeh Taalib Hona Kya Hai? 4 . Kya Taalib Hone Ke Liye Murshid Ki Ijazat Zaruri Hai? 5.  Agar Musrhid Duniya Mein Ho Ya Na Ho Tau Ijazat Kaise Le? 6.  Kya Ek Se Zyada Se Mureed Ya Taalib Ho Sakte Hai? 7.  Kaunsi Umr Mein Mureed Hona Chahiye? 8.  Agar Bachpan Mein Mureed Hoye Aur Hosh Sambhal Ne Ke Baad Yeh Laga Ki Mujhe Inse Nahi Kisi Aur Se Mureed Hona Hai. Toh Kya Hukm Hai? 9.  Kya Woh Shaks Nuksaan Mein Hai Jo Bina Mureed Hue Duniya Se Gaya? 10.  Jis Tarha Jism Ka Baap Walid Hota Hai Us Tarha Rooh Ka Baap Peer Hota Hai Kya Yeh Kehna Sahi Hai? Jawab: 1.  Mureed Hona Ye Hai Ke Kis Jaame Sharaait E Peer Ke Rubaru Taubah Kar Ke Nek Kaamo Ka Pokhta Wadah Karein Aur Isi Ko Baiat Hona Bhi Kahte Hain. B...

WhatsApp Group

 🌹 *Ya Sarkar TajushShariah* 🌹  *ONLINE QADRI DARULIFTA*                          *Group Rules*     ZER-E-SARPARASTI *Hazrat Allamah Maulana Mufti Kaleem Ur Rahman Razvi Azhari Sahab Qibla (Bareilly SHARIF)* 🥀Assalamualaikum🥀 1🌼 Yeh Group Sawal o Jawab Ka Hai, Group Mein Sirf Sawal Hi Puchein, Kisi Bhi Tarah Ki Post, Photo Aur Video Se Parhez Karein. 2🌼 Sawal Sirf Writing (Yani Likh Kar) Mein Karein, Taaki *Hazrat* Ko Jawab Dene Mein Asaani Ho. *NOTE* : 📢  Jin Members Ko Typing (Likhna Nahi Aata) Woh Members Admins ( *Hazrat* Ko Chhod Kar) Ko  Personal Mein Apna Sawal Bhejein, Admin Aap Ko Aap Ka Sawal Type (Likh) Kar Degein. 3.🌼 Ikhtilafi  Aur Khawab Ki Tabir Se Munsalik  Sawal Karne Se Bachein, Aise Sawaloon Ka Jawab Nahi Diya Jayega. (Agar *Hazrat* Ijazat Dein Toh Apne Khawab Ki Tabir Ke Liye Aap *Hazrat* Se Personal Mein Puch Saktein Hain)  4.🌼 Group Memebrs Sa...

Jo Wahabi Apne Aqabir Ke Kufriyat Na Janta Ho Uski Mayyat Me Jana Kaisa ?

  Jo Wahabi Apne Aqabir Ke Kufriyat Na Janta Ho Uski Mayyat Me Jana Kesa ?  *🌹SAWAL:-🌹* Kya Wahabi Devbandi Sullehkulli Ki Mard Ya Orat Ki Mayyat Me Jaana Kaisa Mitti Dena Kaisa Or Woh Wahabi Devbandi Sullehkulli Jo Sada Hua Nhi Hai Jo Inki Qufri Aqaid Bhi Nhi Jaanta H Or Kuch To Inke A Kabir Ko Bhi Nhi Jaante H Jinhone Gustakhi Ki H Woh Apne Ap Ko Sirf Musalman Bolte H Iski Wazaahat Farma De *🌹JAWAB:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Wahabi Deobandi Apne Kufriya Aqaaid Ki Buniyad Par Aulma E Harmain Shareefain Or Barre Sageer Ke Aulma E Ahle Sunnat Ke Fatawa Ke Mutabiq Jo Hussamul Harmain Me Darj He, Apne Kufriya Aqaaid Ki Buniyad Par Kafiro Murtad He.. Ayso Ki Namaze Janaza Padhna Najaaizo Haram Or Jisne Musalman Samajh Kar Namaz Padhi To Vo Aulma Harmain Shareefain Ke Fatwa Ke Mutabiq Unke Kufr Me Shal Karne Ki Bina Par Vo Khud Bhi Kafir.. Kafiro Mushrikeen Ki Namaze Janaza Ke Ta'alluq Se Rab Tabarak W Ta'ala Ne Irshad Farmaya, وَلَا تُصَلِّ عَلَىٰ ...

Wahabi Ko Isale Sawab Karna Ya Magfirat Ki Duaa Karna Kaisa ?

Wahabi Ko Isale Sawab Karna Ya Magfirat Ki Duaa Karna Kaisa ? *🌹SAWAL:-🌹* Wahabi Ko Esaale Sawab Karna Kaisa H Hawale Ke Sath Jawab Enayat Farmaye *🌹JAWAB:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Apne Kufriya Aqaid Ki Bina Par Kafiro Murtad He, Or Kafir Ke Liye Isale Sawab Karna Ya Magfirat Ki Duaa Karna Najaizo Haram He, Balki Unke Kufriya Aqaid Jante Huye Unhe Musalman Taslim Karte Huye Isale Sawab Ya Dua E Magfirat Karna Kufr He. Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Farmate He, Or Kafir Ke Kiye Magfirat Ki Duaa Karna Jaiz Nahi, Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Fatawa Aalam Giri Ke Hawale Se Tahrir Farmate He, Kafir Ke Liye Magfirat Ki Duaa Hargiz Hargiz Na Kare. *📚(Bahare Shariyat, J-16, S-257)* Lihaza Wahabiyo Ke Liye Magfirat Ki Duaa Karna Haram Or Musalman Samajh Kar Duaa Karna Kufr He. Or Unhe Isale Sawab Karna Bhi Kufr He. Saiyadna Aala Hazrat Alaihir Rahma Tehriri Farmate He, Q...

Wahabi Ko Harami Kahna Kaisa ?

  Wahabi Ko Harami Kahna Kesa ? *🌹SAWAL:-🌹* As Salamu Aliakum Ulmaaa E Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal ArZ Hai....Ke Whaaabi Ko Harami( Haram Ki Aulad) Kehna Kesaa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Wahabi Deobandi Wagairah Ka Radd Karna Farze Azeem He, Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Jab Koi Gumrah, Baddeen, Rafzi Ho Yaa Mirzai, Wahabi Ho Ya Deobandi Wagairahum Musalmano Ko Bahkaye Fitna Fasad Paida Kare To Uska Dafaa'a Or Quloobe Muslimeen Se Shubhate Shayateen Ka Rafa'a Farze Aazam He. *📚(Fatawa Razviya, J-21, S-255)* Lekin Harami Jese Bazari Alfaz Istemal Nahi Karne Chahiye.. Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Se Isi Tarah Ka Ek Suwal Hua Ki Badmazhabo Ko Harami Kahna Kesa Or Jis Tarah Waleed Bin Mugira Ko Harami Kahte He Is Tarah Inhe Bhi Kah Sakte He ? Jiske Jawab Me Aap Farmate He, Ye Kulliya Nahi He, Waleed Bin Mugira Aysa Hi Tha, Isse Ye Lazim Nahi Aata Hai Ki Har Badmazhab Ko Is Taur Par Kaha J...

Halate Namaz Ma Zaid Ke Sar Se Topi Gir Jaye To Bakar Ka Uske Sar Pe Utha Ke Rakhna Kaisa ?

  Halate Namaz Ma Zaid Ke Sar Se Topi Gir Jaye To Bakar Ka Uske Sar Pe Utha Ke Rakhna Kesa ?  *🌹SAWAL:-🌹* Asslamualaikum Hazrat Aksar Dekha Jaata He Masjid Me Namaz Padhte Waqt Kuch Logo Ki Topi Sir Se Gir Jaati Hai To Kuch Log Topi Utha Kar Uske Sir Par Pehna Dete He To Kya Aisa Karna Sahi He Ya Nahi Rehnumai Farmaye *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Topi Pahan Kar Namaz Padhna Sunnat He, Faraaiz Ya Waajibat Me Se Nahiñ Ki Bagair Topi Ke Namaz Hogi Hi Nahiñ.. Agar Kisi Wajah Se Namaz Me Topi Gir Gai To Amale Qaleel Ke Sath Utha Lena Afzal He Or Agar Na Uthane Me Khuzu'a Maqsood Ho To Na Uthayeñ Namaz Ho Jayegi... Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He, Namaz Me Topi Gir Padi To Utha Lena Afzal He Jab Ki Amale Kaseer Ki Haajat Na Pade Warna Namaz Fasid Ho Jayegi Or Baar Baar Uthani Pade To Chhod De Or Na Uthane Se Khuzu'a Maqsood Ho To Na Uthaye... *📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-39)* Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato ...

Dono Rakat Me Ek Hi Surah Padhle To Namaz Ka Hukm ?

  Dono Rakat Me Ek Hi Surah Padhle To Namaz Ka Hukm ?  *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Hazrat Agar Farz Namaz Ke Dono Rakat Me Surah Fatiha Ke Baad Ek Hi Surah Pad Liya Ho Aur Salam Ferne Ke Baad Yaad Aye To Kya Namaz Ho Jayegi Ya Dohrani Padegi *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Namaz Ho Jayegi, Dohrane Ki Hajat Nahiñ... Donoñ Rak'atoñ Me Ek Bi Surat Padhna Jabki Koi Majboori Na Ho Makroohe Tanzihi He.. Or Makroohe Tanzihi Se Namaz Ho Jayegi, Dohrane Ki Hajat Nahiñ Isme... Bahare Shariyat Me He, Donoñ Rak'atoñ Me Ek Hi Surat Ki Takraar Makroohe Tanzihi He, Jab Ki Koi Majboori Na Ho Or Majboori Ho To Bilkul Karahat Nahiñ.. Maslan Pahli Raka'at Me Puri قل اعوذ برب الناس Padhi, To Ab Dusri Me Bhi Yahi Padhe Ya Dusri Me Bilaqasd Wahi Pahli Surat Shuru'a Kar Di Ya Dusri Surat Yaad Nahiñ Aati, To Wahi Pahli Padhe.. *📚(Bahare Shariyat, Hissa-3, Qura'an Majeed Padhne Ka Bayan, Mas'ala-32) واللہ تعالی أعلم بالـصـواب Follow on Instagram:  ...