KUFRIYA BAATEN

 ** KUFRIYA BAATEN **

Aam log baat chit mai Kufr ke Alfaaz bol kar Islam se khariz ho jaate hai aur Imaan se haath dho baith te hai iska khyal rakhna nihayat jaruri hai kyun ke gunah ki bakshish hai lekin agar kufr bak kar imaan kho diya toh bakshish aur jannat mai jaane ki koi surat nahi balki humesha ke liye jahnnam hai
Hadees e Pak mai hai ki Huzur Nabi e Pak Alahissalatu wassalam ne farmaya ki shaam ko aadmi momin hoga toh subha ko kafir aur subha ko momin hoga toh shaam ko kafir,
Kalimat kufr kitne hai aur kis kis baat se kufr lazim aata hai iski tafseel likhna dushwar hai lekin chand baato ka khayal rakhen INSHAALLAH Imaan Salamat rahega,
Aap ba adab ho jaiye ALLAH T'AALA uske Rasool, Farishte, Qaba Sharif, Masjid, Quraan e karim , Deeni Kitabe, Buzurgane Deen, Ulama e Kiraam, Walidain, insab ka adab taazim aur muhabbat dil mai bitha lijiye, Ba adab insaan ka dil ek Khare aur Khote ko parakhne ki tarazu ho jata hai ki na khud uske muh se galat baat nikalti hai aur koi aur galat baat bake toh usko na gawar guzarti hai, Isliye anpadh ba adab accha hai padhe likhe be adab se,
Quraan e Pak Tarzama" Joh ALLAH T'AALA ki nishaniyon ki tazim kare toh yeh dilon ki parhezgari hai"
Hasi Mazaak tafrih wa dillagi ki adat mat banaiye aur kabhi ho toh usme deeni baaton ko mat laiye ALLAH T'AALA, Uski Zaat wa Sifaat, Ambiya e Kiraam, Farishte, Jannat, Dozakh, Azaab, Sawab, Namaaz, Roza wagaira Ahkaam e Shara ka zikr hasi tafrih mai kabhi na laiye warna imaan ke liye khatra paida ho sakta hai ALLAH T'AALA ki nishaniyon ke saath mazaak kufr hai,
Baaz log is kism ki baaten sabko khush karne ke liye bol dete hai logo ko sirf hasane ke liye joh muh me aata hai bakte rehte hai jiska bolna aur khushi ke saath sun na kufr hai kahi ye entertainment tumhare imaan ke liye khatra na banjaye aise logon se aur aisi baaten karne walon se door rehna jaruri hai,
Musalmano mai joh naye naye firke raiz huwe hai unse door rehna nihayat he jaruri hai yeh Imaan wa Aqide ke liye sab se bada khatra hai mazhab e ahle sunnat buzurgon ko rawish par kaim rehna imaan wa aqide ki hifazat ke liye nihayat lazim hai aur mazhabe ahle sunnat ki sahi tarzamani is daur mai Ala Hazrat Mujaddid Imam Ahmad Raza Khan Barailwi Rehmatullah T'aala Alai ne farmayi hai unki taalimaat ain islam hai......Wallahu Taala Aalam
Farz Uloom (essential knowledge of Islam) jese ki Allah, Nabi, Farishte, jinn ke bareme Aqaid, Eiman aur Kufr, Namaz, Hasad, Riyakari wagairah kai sare ZARURI masail par Bayan (Speeches) 1st comment me di hui LINK par jane par milege. Aap Zarur Download karke suniye.

Comments

Popular posts from this blog

👑HUZUR GULZAR-E-MILLAT Maddazillahun Noorani Ek Nazar Me.........

Qurbani Ka Nisab Kitna Hai