Table, Kursi Par Khana Kaisa ?

Table, Kursi Par Khane Ka Bayan ?

Aaj Kal Table Kursi Par Jute Pehne Huye Khane Ka Fashion Ho Chuka Hai Jis Dawat Me Table Kursi Ka Intezam Na Ho Wo Dawat Ghatiya Qism Ki Dawat Samjhi Jati Hai

Yaad Rakhiye! Hamari Shariyat Me Table Kursi Par Khana Mamnoo' Hai Khilane Wale Aur Khane Wale Dono Gunahgar Hai
Isliye Ke Ye Nazara Ka Tarika Hai Aur Umuman Table Kursi Par Khana Ho To Log Jute Pehne Huye Khana Khate Hai

HADEES:- Hazrat Anas Bin Malik رضی اللہ عنہا Se Riwayat Hai Ke Huzoor e Aqdas
 صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya:
Jab Khana Khane Baitho To Jute Utaar Lo Ke Isme Tumhare Paav Ke Liye Jyada Rahat Hai Aur Ye Achchhi Sunnat Hai
📚(Tibrani Shareef + Mishkaat Shareef Jild-2 Hadees-4045 Safah-315)

Table Kursi Par Khane Ke Muta'alliq Mujaddid E Deen O Millat Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barelvi رضی اللہ عنہ Irshad Farmate Hai:
Table Kursi Par Jute Pehne Huye Khana Khana Isaaiyo Ki Naql Hai, Isse Door Bhage Aur Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ka Wo Irshad Yaad Kare Ke--"Jo Kisi Qaum Ki Mashabehat (Naql) Paida Kare Wo Unhi Me Se Hai"
📚(Fatawa e Africa Safah no-53)

Ye To Table Kursi Par Khane Ke Muta'alliq Hukm Tha Magar Maujuda Daur Me To Itni Tarakki Ho Gayi Hai Ke Aksar Jagah Khade Khade Khane Ka Intezam Hota Hai
Inme Aise Musalman Jyada Sharik Hai Jinke Sar Par Society Me "Modern" Khilane Ka Bhoot Sawar Hai Aur Hairar Balaye Hairat Ki Is Bhikhari Tarz Ki Dawat Ko Standard Ka Naam De Diya Gaya Hai

Allah Ta'ala Ne Insan Ko AshrafulMalhlkat Banaya Aur Use Khane Pine, Sone, Jagne, Chalne Phirne, Uthne Baithne Garz Ki Har Mu'amle Me Janwaron Se Alag Munfarid Imtiyazi Khususiyat Se Nawaza, Lekin Ta'azzub! Aaj Ka Insan Janwaron Ke Taur Tarike Ko Apnana Me Hi Apni Tarakki Samajh Raha Hai Aur Is Par Fule Nahi Sama Raha
Allah Ta'ala Musalmano Ko Janwaron Ki Tarah Khade Rehkar Khane Se Bachne Ki Taufiq Ata Farmaye آمیـن

MAS'ALA:- Bhook Se Kam Khana Sunnat Hai Bhool Bhar Khana Mubah Hai (Yani Na Sawab Aur Na Hi Gunah) Aur Bhook Se Jyada Khana Haram Hai Jyada Khane Ka Matlab Ye Hai Ke Itna Khaya Jisse Pet Kharab Hone (Yani Badhazmi) Ka Guman Hai
📚(Qanoon e Shariyat Jild-2 Safah-178)

Follow on Instagram: @Barelvi_Education_Fiqhe_Hanfi

واللہ تعالی أعلم بالـصـواب

Comments

Popular posts from this blog

👑HUZUR GULZAR-E-MILLAT Maddazillahun Noorani Ek Nazar Me.........

KUFRIYA BAATEN

Qurbani Ka Nisab Kitna Hai